Tuesday 19 June 2007

me tum ko ye batata hoon k mujhko kon bhata hai
me tum ko ye batata hoon mera dil kis pe aata hai
me tum ko ye batata hoon k kab dukhta hai dil mera
me tum ko ye batata hoon k kab dil muskurata hai

masuumiat se unsiat buhat mehsuus karta hoon
harrafa sift logon se mera dil jee churaata hai
k izzat dil me barhtee hai jo me sharm o haya dekhon
k jisme behayai ho kioon usko me bhala dekhoon…

mujhe wo shakhs bhata hai k jiska lehja dheema ho
mujhe wo shakhs bhata hai k jis k dil me eema ho
mujhe wo shakhs bhata hai k naiki jisko piari ho
mujhe wo shakhs bhata hai burai jis se haari ho

mujhe wo shakhs bhata hai ikhlaaq jis k achche hon
mujhe wo shakhs bhata hai k jiso piaray bachche hon

mujhe wo shakhs bhata hai k jo wadon ka pakka ho
mujhe wo shakhs bhata hai k jo baton ka sachcha ho


mujhe wo shakhs bhata hai jo farz apna kare puura
mujhe wo shakhs bhata hai jo haq lekar rahe puura

mujhe wo shakhs bhata hai jo qismat khud banata ho
mujhe wo shakhs bhata hai jo chahta ho wo pata ho..

mujhe wo shakhs bhata hai jo muqaddar se na gila kare
kamyabian hon ya nakamian wo koshishen barmala kare

mujhe her shakhs bhata hai k jis me kuch bhi achcha hai
wo lamba hai ya choota hai wo boorha hai ya bacchha hai


by
S. M Nabeel Dibaji